Aik Shaheed Ko Bhaint
Sunday, September 27, 2009
Gyaani Tera Gyaan Tha Jhoota
Imam zamin rakhsha bandhan,
sab oyay bekar
waashna ki vijay hoi aur
prajaa ki preet thi haari
mein abhaagan prem pujaari,
aur saary jan ssattiya ke bari
bus satta thi raj kumaari
jo senaa pati ko bhaai
us nay naag ka roop jo dhaara
aisa vish dharti pe utaara
pakhshi bhi ho gayay thay kaari
baabul tu nay ik din kaha tha
bitiya,
"mrittiyo jo chhoyay gi mujh ko
hamaala kay bhi neer bahein gay"
kia maloom tha ik din baabul,
Raakshison ko ik baar phir se
aisi vijay milay ki amber
lahoo kay neer bahaaye ga
aur paani saloon ho ho ker
nainon say beh naheen paaye ga
Mein nay tau bus sach hay baabul
teri adhoori peet nihaarna chaahi thi
sangdilon nay preet ko bhi
lahoo lahoo ker daalaa ik din
Per baba, teri raajkumaari
ka wishwaas naheen abhi haara
maas ko chun chun khaanay waalay
kaagaa bhi ye jaantay hein
sapna mer naheen sakta hay
Teri dherti kay sab raam lakhshman,
Krishan, Shyaam, Abhay aur Vishnu
Raawan kay naash ka sapna lay ker
samay ki aag mein kooday hein
Ab dekhein is yug ka bhagwan
kesay hamein haraata hay!!!
(Marvi Sirmed)
0 comments:
Post a Comment